Business Ideaslogy Blogspot

Wednesday, July 8, 2020

SEO kya hai? Kyun Karni Chahiye SEO?

SEO kya hai? Kyun Karni Chahiye SEO?

Ajjkal to har koi SEO ke bare main baat karta hai. Kya app ajnte hain ki akhir seo kya hai? SEO ek marketing process hai. Joh search engine par website or products ko promote kiyajata hai. Hello dear all visitors i am SAI from business ideaslogy blogspot.

SEO yeniki search engine optimization ek process hai jise ham marketing karte hain. Ek time tha jab internet users kam the. Internet source kam tha, or internet cost bahat jyada tha. Magar time to time IT yaniki information technology update hokar ek revolutuion agaya. Jisko ham generation of Internet ka naam se jante hain.

2016 se pehle uaniki woh daur jab internet par marketing karnewale kam the, digital marketing strategies limited tha or internet users bahat hi kam the. Magar 2016 se jab reliance jio ne Indian Telecome Market par apna dabdawa suru kiya tabhi aya Internet Using revolution. Usse pehle ham sab keliye internet ek sapna hua karta tha. Magar reliance jio ke enter karneke baad sab kuch badal gaya or Information Technology yaniki iT sector par bahat badlab dekhneko mila.

Internet Generation Or Marketing Revolutions

1955 se lekar lagvag 2005 tak digital marketing ekdam limited tha. Uss wakt digital marketing sirf Tv yaniki television yafir Radio par aya karta tha. Magar time badalte badlate digital marketing ka scope thoda orr badhgaya.

Lagbhag 2005 se 2009 taq sabse jyada revolution kisime dekhneko mila toh woh hai mobiles or internet. Kyunki yeh woh daur tha jab Airtel, Aircel, Stel, Uninor ke chalte 2G speed ka internet har nokia mobile par dekhneko mila. Ham nokia mobile latlav 2525 model se upar. Iss waqt bhi digital marketing par kuch jyada asar nehi huwa. Kyunki iss daur par java operating systems ka mobiles par advertisement ko show karwana possible hi nehi tha. 

Magar 2010 se lekar 2015 taq technology par ek aisa revolution dekhneko mila joh puri dunia ko hilakar rakhdene wala tha. Kyunki iss waqk introduce huwa WiFI. Orr iss time ke andar andar hi 3G yaniki third generation of internet mobile itna popular huwa ki jisko dekho woh screen touch joh tabhi symbian operating system ko support karraha tha dekhneko mila. 

2010 se lekar 2015 main sirf internet par hi badlaw nehi aya balki mobile par bhi badlav dekhneko mila. Joh dunia ke 2 sabse leading company ek hai Nokia joh symbian operating system ko popular kardiyatha, tabhi Samsung Java ko develop karke advance java banadiya. Jisper support keliye hajaron applications or games introduce karwadiya. Kher yeh to gaming ka revolution tha. Magar marketing par isswaqt game ka bahat hi bada yogdan tha. Har koi jisne bhi java mobile par games khele hain unko pata hoga ki lizard, marvel, gameloft jaise companies apne logo or brands ko gaming ke thorugh market par utarliye. Jiske wajah se unka luck hi change hogaya. 

App bolsakte hain ki 2010 se lekar 2015 taq digital marketing improve hokar Television, Radion ke bawajud gaming par apna dabdawa jahir karchuka tha.

Isske baad joh daur aya, shayad hi koi aur generation hoga IT sectors par joh digital marketing scope ko itna bulandionpar lejasakta tha.

Jab koi digital marketing ko soch nehi sakta tha, tabhi reliance jio ne 2016 ko Indian Telecom Market par apna kabja banadala. or Internet ko itna samsa or speed karwadiya ki ajj uska natija apke samne VOIP hai. Matlab 4G yaniki 4th generation of Internet aneke baad bahat tejise digital marketing badhta gaya, badhta gaya. Dekhte hi dekhte jab log 3G internet ko use karke 1.5 MBps speed ko enjoy kar sakte the tabhi jio ka 4G technology istamal karke 21MBPS speed ko users enjoy karne lage. 

Or 4G internet ke wajah se android or Iphone companies apna business foundation ko aur bhi jyada bada karneme sakhsam hogaye. Aur to aur jis mobile par dekho lakhon applications, hajaron games kejariye marketing hote chalagaya.

Facebook, Twitter, Blogger, Applications, Games, Videos jahan dekho aaj wahan advertisement. Jahan dekho, aise koi bhi platform app nehi dikhasakte jahan par digital marketing nehi horaha ho.

Marketing kya hai?
Jahirsi baat hai koibhi chiz ko sell yafir promote karnekeliye joh process implement kiyajata hai usko kehte hain marketing.

Types Of Marketing in hindi

Marketing 3 types hote hain.
  1. Traditional marketing
  2. Digital Marketing
  3. Voice Marketing


TraditionalMarketing Kya hai?

Sochke dekhiye purane jamane me marketing kyun kiyajata tha? Jahirsi baat hai kisi bhi product yafir brand ko sell karnekeliye. Aur uss daur par jis marketing strategy apply kiyajata tha usko kahajata tha classic yafir traditional marketing. 

Aaj bhi station, bajar, public places aur road par chote chote paper posters dekhneko milte honge. Woh ek tarha ka marketing tha. Jisko kahajata tha traditional marketing. traditional marketing ka cost bahat jyada hota tha. Tabhi Traditional marketing cost kam karne keliye books aur magazines ko marketing ke hisab se choose kiyagaya. Jiske chalte joh bhi advertiser chata tha uska advertisement authority ke hisab se 

Digital marketing kya hai? Kya apko iss question ka answer pata hai? Digital marketing yaniki marketing through digitalization. Ajj kal ka zamana hai electronics ke jamana. So mobiles, computers, laptops jaise devices ko use karke agar ham marketing karte hain to usko kahajata hai digital marketing.

Abb SEO kya hai?
Seo kya hai yeh ham pehle hi bataachuke hain. To ab baat karte hain ki SEO kyun jaroori hota hai. Dekhiy wese to digital marketing karnekeliye kai platforms hote hain. Magar wahan par client milte nehi hain. Agar app social media platforms par marketing karte hain besak wahan appko jyada audience milenge but targeting audience nehi milenge. To iskeliye digital marketers ne ek tarika nikala jisko kahagaya SEO yaniki search engine optimization. Wese SEO kuch jyada purane techniques nehi hain. Sirf 15 year pehle hi aya hai.

SEO kaise kaam karte hai?

Suppose app ka ek WEB DESIGNING COMPANY hai. Jahan par app customers ko website design karneka service provide karte hain. Aur unse kuch charges leteho. Magar yeh appke cities ke customers ko kaise pata chalega ki app web designing service provide karte hain? Isskeliye appko marketing karna parega. Aise apke paas 3 raste hain. 
1. Social media marketing yaniki SMM
2. Tele calling
3. SEO yaniki search engine optimization.

Pehla technique istmal karke app jyada logontak pahuncha sakte hain. Third technique itmanl karke app clients dound karsakte hain. Or second technique itmal karke app unko service lene keliye convense karsakte hain. Yaniki yehi hai digital marketing 2020 strategies.

Abchaliye baat karte hain SEO kaam kaise karta hai?
Maan lijiye mera city hai bhubaneswar. Jahan par mai rehta hoon. Wahan se mujhe clients chahiye. Or mai SEO SERVICE provide karta hoon. Tophir mujhe client kaise milenge? Yeh SEO se possible hai. Aur mujhe kaisa patachalega ki kaun kaun mera targeting clients hain? Iska pata hamko keyword research se pata chalega.

To pure milakar baat yeh hai ki ham sirf or sirf keyword research karke hi apna client ko hamare services ko provide karsakte hain. Ab yeh Keywords kya hai?

Keywords woh secret sentences yafir words hain joh clients ke dwara search kiyajata hai. Suppose mera SEO SERVICE mai provide karta hoon woh phir bhubaneswar city main. Tophir jahirsi baat hai ki log search karrahe honge

"AFFORDABLE SEO SERVICE PROVIDER IN BHUBANESWAR
FASTEST RANKING SEO COMPANY IN BHUBANESWAR

Toh lagbhag lagbhag 70% chances hai ki log yehi keywords ko hi google, yahoo yafir bing jaise search engines par search karenge. Tabhi mujhe kya karna parega? Tabhi mujhe inn keywords ko lekar mujhe website ka SEO karna parega. jiska chalte koi bhi user upar diyegaye keywords ko search karte hi mera website sabse pehle rank par aye.

To kya SEO karni chahiye?

Zahirsi baat hai agar appka business ko online shift karna chahte hain or jyada se jyada clients online se chahte hain tophir apko seo karna parega.

SEO myths in hindi
SEO ko lekar bahat sare myths concept nikalliya gaya hai. Unsabko ek ek karke mai reveal karna chahunga.

Kya SEO free hai? 
Ji bilkul nehi. yeh bilkul bhi free nehi hai. Kyunki ek keyword ko optimiz karke app website ko ranking par nehi lasakte. Agar keyword hi ranking factor hota tofir har koi aaj seo expert in bhubaneswar banke baitha hota. 

Myths No2) SEO profitable nehi hai:
Janv shayad app ek chiz bhulrahe hain ki SEO ek futuristic proces hai. Joh ek digital marketer bahat mehnat karke apna kam karta hai. Suppose apke business related koi bhi searches agar nehi hai tophir ham karbhi kya sakte hain? Isiliye ek digital marketer ko search engine optimization karnese pehle apne client ko batadena chahiye ki unke business related searches kitne hote hain. Or kya unko search engine optimization par paisa invest karna chahiye?

Myths No3) Blackhat searchengine optimization:
Jab blackhat naam sunta hoon mujhe bahat hasi ata hai. Kyunki ek time aisa bhi tha joh is term ka istmal karta tha. Actually blackhat jaise koi chiz nehi hota hai. Khamokha seo experts ne searchengine optimization ko black magic yaniki jadutona banakar rakhdiya hai. Jab app kisi bhi seo expert se blackhat naam sunege tabhi appko yeh pata lagjana chahiye ki woh darasal web spamming ki baat karrahe hain. Joh apke business keliye bidi, cigret aur alchohol jaise hanikarak hai.

#Final_Conclusion
SEO ek bahat hi jabardast online business beniits denewala marketing process hai. Joh 100% lead dega hi dega. Baat yeh hai ki apka business, blogs kahan par establish hai. Or apa compititor kitne hain. Agar apka business related compititors jyada honge tofir jahirsi baat hai apko unse jyada paisa search engine optimization marketing keliye kharcha karna parega. So i hope ki this post apko acha laga hoga. Chaliye adav...duaonme yaad rakhna or business ideaslogy blogspotko daily babis par visit karte rehne. Isi tarha seo related articles keliye.

Thank You

1 comment:

Back To Top